Chetak Ki Veerta
चेतक की वीरता
Namaskar!
Meri Kavita Ka Naam Hai — “Chetak Ki Veerta.”
Ye Kavita Kavi Shyam Narayan Pandey ne “Haldighati” ka ek ansh likha hai.
Chetak Ki Veerta:
Ran-Beech Chaukdi Bhar Bharkar
Chetak Ban Gaya Nirala Tha.
Rana Pratap Ke Ghode Se
Pad Gaya Hawa Ko Pala Tha.
Girta Na Kabhi Chetak Tan Par
Rana Pratap Ka Koda Tha.
Wah Daud Raha Ari Mastak Par
Ya Asaman Par Ghoda Tha.
Jo Tanik Hawa Se Baagh Hili
Lekar Sawaar Udd Jata Tha.
Rana Ki Putli Phiri Nahi
Tab Tak Chetak Mudd Jata Tha.
Kaushal Dikhlaya Chalon Mein
Udd Gaya Bhayanak Bhalon Mein
Nirbhik Gaya Wah Dhalon Mein
Sarpat Dauda Karwalon Mein.
Hai Yahi Raha, Ab Yaha Nahi
Wah Wahi Raha Hai Waha Nahi.
Thi Jagah Na Koi Jaha Nahi
Kis Ari Mastak Par Kaha Nahi.
Dhanyavaad!
Jai Bharat! 🇮🇳