Diya Aur Baati Hum

Story ki shuruaat hoti hai Pushkar (पुष्कर) me jo Rajasthan (राजस्थान) ka ek shehar hai aur Sandhya Kothari (संध्या कोठारी) se Sandhya ek bold intelligent aur ambitious ladki hai jiska sabse bada sapna hai IPS officer banna aur iss sapne ko bachpan se hi support karte hai uske papa Arvind Kothari (अरविंद कोठारी)

Sandhya ki mother Kanchan Kothari (कंचन कोठारी) bhi apni beti ke dreams ko support karti hain Lekin Sandhya ke parents ki ek terrorist bombing mein death ho jaati hai uske parents ki death ke baad Sandhya ke bade bhai Ankur Kothari (अंकुर कोठारी) par family ki responsibility aa jaati hai Isi beech Ankur ko US mein job opportunity milti hai lekin Sandhya ki responsibility ki wajah se woh job offer ko haa nahi keh paa raha hota hai Isliye Ankur decide karta hai ki woh Sandhya ki shaadi pandrah (15) din ke andar karwa de taaki woh apni responsibility se free hokar US ja sake Sandhya however shaadi se zyada apni padhai aur IPS ke dream ko importance deti hai

Isi beech Pushkar ke Rathi parivaar mein Sooraj Rathi (सूरज राठी) ki shaadi ki taiyari chal rahi hoti hai Sooraj ek simple aur kind hearted young man hai jo apne parivaar ki mithai ki dukaan chalata hai Woh zyada padha likha nahi hai lekin bahut responsible hai

Sooraj ki mother Santosh Rathi (संतोष राठी) jise ghar mein sab Bhabho (भाभो) kehte hain ek strict aur traditional woman hain Unke liye ghar ki bahu ka sabse zaruri kaam family aur ghar ki responsibilities sambhalna hai

Sooraj ke father Arun Rathi (अरुण राठी) jise family Bhabhasa (भाभासा) kehti hai comparatively calm aur understanding hain

Rathi family mein Sooraj ke younger brothers Vikram Rathi (विक्रम राठी) jo family business se juda hai aur Mohit Rathi (मोहित राठी) jo Sooraj ka chhota bhai hai hain Vikram ki wife Meenakshi Rathi (मीनाक्षी राठी) ghar ki bahu hai and Sooraj ki younger sister Chhavi Rathi (छवि राठी) jo ki modern soch rakhne wali ladki hai

Sooraj ki shaadi pehle kisi aur ladki se fix hoti hai Lekin wedding ke din woh ladki ghar se bhaag jaati hai and Bhabho ke liye yeh bahut bada apmaan (humiliation) hota hai Rathi family baraat lekar wapas aa jaati hai aur Bhabho decide karti hain ki ab woh Sooraj ki shaadi sirf pandrah (15) din ke andar karwa kar rahengi

Sooraj ki shaadi ke liye family ka marriage broker Kisna (किसना) ek suitable ladki dhoondhne lagta hai
Bhabho ko ek aisi bahu chahiye jo simple ho ghar ka kaam jaanti ho aur traditional family rules ko follow kare

and then Ankur ko pata chalta hai ki Rathi family ek ladki dhund rahi hai for marriage and vo decide karta hai ki vo Sandhya ki shaadi vohi kara dega
Ankur ko pata hota hai ki agar Rathi family ko Sandhya ki actual education aur IPS dream ke baare mein pata chala toh woh shaadi ke liye haa nahi karenge Isliye vo Sandhya ki education ke baare mein sach chhupata hai


Dusri taraf Sandhya ko bhi Sooraj ki poori sachchai nahi batayi jaati Usse Sooraj ki education aur lifestyle ko lekar galat information milti hai Sandhya initially shaadi nahi karna chahti lekin parents ki death ke baad family circumstances aur Ankur ki situation ko dekhte hue finally shaadi ke liye haa kar deti hai

Aur is tarah Sandhya aur Sooraj ki shaadi ho jaati hai

Shaadi ke baad Sandhya jab Rathi family ke ghar aati hai toh uske liye sab kuch bilkul naya hota hai Usne kabhi bhi ghar ka itna kaam nahi kiya hota

afterwards

Sandhya ko dheere dheere pata chalta hai ki Sooraj koi MBA businessman nahi hai balki ek halwai hai jo family ki mithai ki dukaan chalata hai and ye sun ke Sandhya ko shock lagta hai kyunki Ankur ne usse Sooraj ke baare mein kuch aur hi bataya tha

Isi tarah Rathi family ko bhi Sandhya ki actual education aur uske IPS dream ke bare me pata chalta hai Bhabho ko lagta hai ki Sandhya ne unse baate chhupayi hai aur woh Rathi family ki bahu banne ke layak nahi hai Bhabho usse ghar se nikalne tak ka decision leti hain

Lekin Sooraj Sandhya ka saath deta hai

Sooraj samajh jaata hai ki Sandhya ne jaan bujhkar family ko hurt nahi kiya Woh decide karta hai ki Sandhya ko vaisi bahu banne mein help karega jaisi Bhabho chahti hain Sandhya bhi Rathi family ko samajhne ki koshish karti hai

Bhabho Sandhya ko ek 15 day challenge deti hain Sandhya ko prove karna hota hai ki woh Rathi family ki responsibilities sambhalne ke layak hai Starting mein Sandhya ko household work (ghar ke kaam) mein kaafi problems face karni padti hai lekin woh haar nahi manti

dheere dheere Sandhya Apni intelligence aur practical thinking ka use karke gradually family ko impress karne lagti hai Woh cleanliness aur discipline ko lekar bhi family aur aas paas ke logon ko educate karti hai (vo na basically ek Kathputli wala show kar ke sabko saaf safai se rehne ke faide bata ti hai in a fun way)

Finally Bhabho ko realise hota hai ki Sandhya sirf educated hi nahi balki responsible bhi hai Dheere dheere woh bhi Sandhya ko accept kar leti hain

Ankur bhi apni galti realise karta hai aur Sandhya se maafi maangta hai Sandhya usse maaf kar deti hai

Shaadi ke baad Sandhya ko Sooraj ke talent ke bare me bhi pata chalta hai Sooraj ek bahut talented halwai hota hai aur Sandhya chahti hai ki uski talent ko duniya dekhe Isliye woh Sooraj ko ek major cooking competition mein participate karne ke liye encourage karti hai

Sooraj initially sankoch karta hai (hesitant hota hai) lekin Sandhya uski taiyari mein kafi help karti hai fir Dono Singapore (सिंगापुर) tak jaate hain jahan Sooraj international level cooking competition mein participate karta hai Sandhya ke support aur Sooraj ke talent ki wajah se woh competition jeet leta hai

And Is journey ke dauraan Sandhya aur Sooraj ka relationship bhi change hone lagta hai Jo shaadi initially family pressure ki wajah se hui thi usmein ab mutual respect friendship aur eventually love (pyaar) develop hone lagta hai

Lekin Sandhya ka sabse bada dream abhi bhi IPS officer banna hota hai

Afterwards

Sandhya ka saamna Rajkumar (राजकुमार) se hota hai, jo asal mein ek terrorist hota hai aur Pushkar mein terrorist attack ki planning kar raha hota hai Rajkumar Rathi family ko bhi apne plan ka target banata hai Sandhya investigation ke through uski sachchai tak pahunchti hai aur uske attack ko rokne mein important role play karti hai and iski vaja se

Sooraj ko Sandhya ke IPS dream ki seriousness samajh aati hai Woh decide karta hai ki chahe Bhabho bhale iss chiz ke khilaff ho woh Sandhya ko uska dream achieve karne mein help karega

Bhabho iss sapne ko strongly oppose karti hain Unhe lagta hai ki bahu ka police officer banna family responsibilities ke against hai Lekin Sooraj Sandhya ki side leta hai aur uski padhai firse shuru karwane ke liye har possible effort karta hai

Sandhya padhai complete karti hai aur competitive examination clear karti hai aur finally IPS training ke liye select ho jati hai

Training ke dauraan Sandhya ko physical aur mental challenges face karne padte hain Wahan uski mulaqat Zakir Siddiqui (ज़ाकिर सिद्दीक़ी) se hoti hai jo ki ek capable IPS trainee hai aur dheere dheere Sandhya ka close professional friend ban jaata hai


Training complete karne ke baad Sandhya police service join karti hai Ab uski life 2 major responsibilities ke beech divide ho jaati hai ek taraf police officer ke taur par desh ke liye duty aur doosri taraf Rathi family ki bahu aur Sooraj ki wife hone ki responsibility

Sandhya ko kai dangerous cases handle karne padte hain Har mission ke saath woh ek stronger police officer banti jaati hai Sooraj meanwhile family aur apni mithai ki dukaan sambhalte hue Sandhya ko support karta rehta hai

Rajkumar jail mein rehkar bhi Sooraj aur Rathi family se revenge lene ka plan banata hai Iske baad dhikhaya jata hai ki Sooraj Dubai ke liye flight leta hai jahan woh food festival mein participate karne ja raha hota hai aur Bhabho bhi uske saath hoti hain Rajkumar ke plan ke mutabik flight hijack kar li jaati hai Sandhya ko jab iska pata chalta hai toh woh Zakir ke saath milkar Sooraj Bhabho aur baaki passengers ko rescue karne ki koshish karti hai and kafi koshisho ke baad

Sandhya situation handle karti hai aur passengers ko bachane mein successful hoti hai

Is dangerous phase ke Kuch waqt baad Bhabho ki health bahut serious ho jaati hai Doctors batate hain ki unki kidney damage ho gayi hai aur unhe urgently kidney transplant ki zarurat hai Sooraj aur Rathi family donor dhoondhne ki koshish karte hain iske Baad Bhabho ko ek anonymous donor ki kidney mil jaati hai aur unki jaan bach jaati hai Family ko initially pata nahi hota ki donor kaun hai but after some time reveal hota hai ki woh donor Sandhya thi jisne secretly apni kidney Bhabho ko donate ki thi

Jab Rathi family ko pata chalta hai ki Sandhya ne Bhabho ki jaan bachane ke liye apni kidney donate ki hai toh Bhabho aur Sandhya ke relationship aur gehra ho jata hai

Kuch time baad Ankur ki wife Ankita Kothari (अंकिता कोठारी) ek accident mein injured ho jaati hain jab woh Bulbul (बुलबुल) ko bachane ki koshish karti hain and uski vaja se she faces miscarriage Iske baad doctors batate hain ki Ankita ke liye dobara conceive karna possible nahi hoga Ankur aur Ankita ki beti Bulbul (बुलबुल) apni maa ki situation nahi samajh aati aur vo bas ek chhote bhai ya behen ki wish karti rehti hai

Isi waqt Sandhya pregnant hoti hai aur pata chalta hai ki woh twins ko janam dene wali hai Sandhya decide karti hai ki woh apne twins mein se ek baby Ankur aur Ankita ko de degi

Sandhya twin sons ko janam deti hai Ved Rathi (वेद राठी) aur Vansh Rathi (वंश राठी)

Kuch hi waqt baad Ved aur Vansh ko ek couple kidnap kar leta hai jo dono bachchon ko bechna chahta hai fir Rescue operation ke dauraan Ved mil jaata hai lekin Vansh immediately locate nahi hota aur family ko lagta hai ki Vansh mar gaya but baad me police officer Vansh ko bhi dhoond late hai fir

Vansh ke milne ke baad Sandhya aur Sooraj use dekhkar emotional ho jaate hain aur Sandhya apne bete ko maa ki tarah hug karti hai Lekin Ankur ko ye bilkul pasand nahi aata Usse lagta hai ki jab Sandhya aur Sooraj Vansh ko usse de chuke hain toh unhe ab bhi Vansh par apne maa-baap jaise rights nahi jatane chahiye (varna Vansh shyad Ankur and uski wife ko kabhi as parents accept hi nahi karega) Isi baat par Ankur aur Sandhya ke beech bada conflict ho jaata hai Ankur Sandhya se saare rishte tod deta hai aur Vansh ko apne paas rakhne ka faisla karta hai

Finally Vansh Ankur aur Ankita ke saath bada hone lagta hai jabki Ved Sandhya aur Sooraj ke paas rehta hai

Kuch saal baad story mein major time leap aata hai

Sandhya Sooraj aur Ved apni life jee rahe hote hain Ved ab bada ho chuka hota hai Isi dauraan unki mulaqat Vansh se hoti hai jo Ankur aur Ankita ke saath bada hua hai aur Ved ke hi school mein padh raha hota hai

Initially Ved aur Vansh ek doosre ko sirf school friends ki tarah jaante hain Lekin gradually family ko pata chalta hai ki Vansh wahi beta hai jise sabne kabhi mara hua samjha tha

Ankur aur Ankita ne Vansh ko Sandhya aur Sooraj se door rakhne ki bahut koshish ki hoti hai Lekin eventually sach saamne aa jata hai Vansh ko bhi apni real identity ka pata chalta hai aur initially woh apne biological parents se naraz hota hai kyunki usse lagta hai ki unhone use chhod diya tha

Baad mein misunderstandings clear hoti hain aur family dheere dheere ek sath aane lagti hai

Isi period mein Sooraj ka dream hota hai ki woh apni mithai ki dukaan se aage badhkar ek bada hotel establish kare Sandhya uske dream ko support karti hai

Lekin Sandhya ki life mein ek dangerous turn aata hai

Usse Mission Mahabhali (मिशन महाबली) par bheja jaata hai Is mission ka purpose ek dangerous terrorist network ko infiltrate karke uske plan ko destroy karna hota hai Sandhya ko apni real identity chhupani padti hai aur woh Sagarika (सागरिका) ke naam se undercover operation start karti hai

Mission ke dauraan Sandhya jaan bujhkar apne family se door rehti hai and ek scene creat karti hai jiske baad sabko lagta hai ki vo mar gayi (Ek train incident ke baad sabko lagta hai ki Sandhya ki death ho gayi hai)

Sooraj ke liye yeh shock unbearable hota hai Sandhya ko khone ke baad uski mental condition badly affect hoti hai aur uska behaviour completely change ho jaata hai

Bhabho Sandhya ko blame karne lagti hain Unhe lagta hai ki Sandhya ne apni duty ko family se upar rakha aur Sooraj ko akela chhod diya

Meanwhile Sandhya actually zinda hoti hai aur apna undercover mission pura kar rahi hoti hai

Mission ke dauraan Sandhya terrorist organisation ke andar tak pahunchti hai aur Uski identity eventually expose ho jaati hai aur woh terrorists ke kabze mein aa jaati hai jiski vaja se Sandhya ko kafi khatra face karna padta hai

Isi beech Sooraj ko pata chalta hai ki Sandhya hai


Sandhya ko akela chhodne ke bajaye Sooraj uske mission mein uski help karne pahunch jaata hai Dono milkar terrorist ko harate hai aur mission complete karke wapas lautte hain

Lekin Pushkar lautne par problems khatam nahi hoti

Bhabho Sooraj ki condition ko dekhte hue uski shaadi Laalima Agarwal (लालिमा अग्रवाल) se karwana chahti hain Laalima Lokesh Agarwal (लोकेश अग्रवाल) ki sister hai aur Sandhya ke missing/dead samjhe jaane ke dauraan Sooraj ki life mein aayi hoti hai

Laalima gradually Sooraj se genuinely pyaar karne lagti hai

but Sandhya ke zinda hone aur Sooraj ke saath reunite hone ki baat vo hazam nahi kar pati

Bhabho Sandhya ko maaf karne ke liye ready nahi hoti kyunki woh usse Sooraj ki mental condition aur uske guzre hue dard ke liye responsible maanti hai jiski wajah se Sandhya aur Sooraj ke beech aur complications create hote hai

Eventually Sooraj aur Sandhya ka relationship misunderstandings aur opposition ke bawajood bhi survive karta hai and Laalima samajh jati hai ki Sooraj Sandhya se kitna pyaar kata hai aur woh unki life se chali jati hai

Isi phase mein Rathi family ek dark family tragedy face karti hai

Sooraj ka younger brother Mohit Laalima ke saath inappropriate hone ki koshish karta hai Situation ke dauraan Mohit ko Bhabho goli maar deti hain aur Mohit ki death ho jaati hai

Mohit ki death ke baad Sandhya uski police team ke saath murder case investigate karti hai Investigation ke dauraan Sooraj Mohit ki death ki responsibility lene lagte hain lekin Sandhya ko samajh aa jaata hai ki ye asli culprit ko bachane ki koshish hain but Sooraj firse khud Mohit ko maarne ka confession kar deta hai taaki apni maa Bhabho ko bacha sake Lekin jab Sooraj ko punishment milne wali hoti hai tab Bhabho sach saamne laati hain aur confess karti hain ki Mohit ki death ke liye woh responsible hain Bhabho batati hain ki unhone Mohit ko Laalima ke saath zabardasti karne ki koshish karte hue dekha tha aur Laalima ko bachane ke liye unhone Mohit ko rokne ki koshish ki thi jiske baad Mohit ki death ho gayi (cuz she shoot him)

Sandhya apni knowledge aur determination ka use karke Bhabho ki help karti hai and Bhabho ko bail mil jaati hai

Baad mein Laalima ki shaadi Pramod (प्रमोद) se arrange hoti hai aur Rathi family is tragedy se bahar aane ki koshish karti hai

Uske baad story Rathi family ke foster son Aryan (आर्यन) jise ghar mein Chhotu (छोटू) bhi kaha jaata hai ki life par focus karti hai

Aryan ki shaadi Aarzoo (आरज़ू) se fix hoti hai Aarzoo Pakistan (पाकिस्तान) se hoti hai lekin shuruaat mein Rathi family ko uski nationality ka pata nahi hota

Bhabho ke dil mein Pakistan ko lekar purani personal bitterness hoti hai kyunki bachpan mein border se judi ek tragedy mein unhone apne younger brother ko kho diya tha

Jab Aarzoo ke Pakistani hone ka sach saamne aata hai toh family mein tension badh jaati hai Sandhya jo khud police officer hai Aarzoo ke behaviour ko suspicious samajhne lagti hai aur usse lagta hai ki Aarzoo terrorist ke sath juda hua hai

Investigation ke baad Sandhya ko realise hota hai ki Aarzoo ko lekar kafi zada galat thi iske baad Sandhya uski innocence prove karne mein help karti hai aur eventually Aarzoo ko Rathi family mein acceptance milti hai

Iske baad Rathi family ek superstition ke track mein phas jaati hai Sooraj aur Sandhya ka beta Ved Rathi (वेद राठी) Mukheshwari Mata (मुखेश्वरी माता) se jude kuch mysterious incidents ko dekhkar unhe divine miracles maan leta hai Lekin Sandhya ko in sab par doubt hota hai aur woh investigation karke in so called miracles ke peeche ki sachchai saamne laane ki koshish karti hai

Isi dauraan ek aur family mystery saamne aati hai Om Rathi (ओम राठी) jo Rathi family ka relative hai pehle Poorvi (पूर्वी) se married tha aur unka beta bhi hai by the name Sparsh Family Poorvi ko dead samajh rahi hoti hai lekin asal mein woh zinda hoti hai aur coma mein hoti hai Om aur Maa Sa (माँ सा Krishna Rathi (कृष्णा राठी) jise ghar mein Maa Sa kaha jaata hai Rathi family ki matriarch aur Sooraj ki dadi hain) uski reality sabse chhupakar rakhte hain

Baad mein Poorvi hosh mein aati hai aur Om ko wapas paane ki obsession mein Emily Rathi (एमिली राठी ex wife of mohit and currently married to OM) ko apne raaste se hataane ki planning karti hai Sandhya ko Poorvi ke intentions par doubt hota hai aur investigation ke through Poorvi ke jhooth aur uske crimes ko expose karti hai


afterwards Sooraj ek serious accident ka shikaar ho jaata hai jiske baad woh temporarily wheelchair par dependent ho jaata hai

Sandhya decide karti hai ki woh Sooraj ko akela nahi chhodegi aur Apni police job temporarily leave lekar woh Sooraj ki sweets shop sambhalne lagti hai

Sooraj aur family ko initially Sandhya ka decision pasand nahi aata kyunki unhe lagta hai ki Sandhya ne apni IPS career ko sacrifice kar diya hai to look after the family

Lekin Sandhya ke liye us waqt Sooraj ki recovery sabse important hoti hai

Eventually Sooraj apni disability overcome karta hai aur dobara khud chalne lagta hai aur iske dauraan Sandhya pregnant hoti hai and ek baby girl ko janam deti hai

Sandhya aur Sooraj ki beti ka naam Kanak Rathi (कनक राठी) rakha jaata hai

Kanak ke birth ke baad Sandhya ko police service mein wapas aane ka mauka milta hai Commissioner (कमिश्नर) usse police force mein return karne ka proposal dete hain aur Sandhya apni duty par wapas jaati hai

Police service mein Sandhya ki mulaqat IPS Arpita Khanna (अर्पिता खन्ना) se hoti hai Arpita initially Sandhya ko rival ki tarah dekhti hai lekin time ke saath dono ek doosre ki capabilities samajhne lagti hain aur eventually strong professional allies ban jaati hain

Sandhya ko ek missing girl Mansi (मानसी) ka case milta hai Sandhya aur Arpita investigation shuru karti hain aur pata chalta hai ki Mansi apni identity chhupakar ek ladke ke disguise mein garage mein kaam kar rahi hai Investigation ke dauraan Sandhya uske situation ki sachchai samajhne ki koshish karti hai aur aakhirkaar Mansi ko uske parents tak safely pahucha deti ha


Isi period mein Meenakshi ki mulaqat Shilpi (शिल्पी) se hoti hai jo Makarand (मकरंद) ke gang ke saath milkar young girls ko kidnap karke unhe paise ke liye trafficking racket mein bechne ka kaam karti hai Shilpi ke trap mein Meenakshi ki beti Mishri bhi phans jaati hai Sandhya aur Arpita investigation karke Makarand ke gang tak pahunchti hain aur Mishri ke saath baaki kidnapped girls ko bhi rescue karti hain iske baad

Rathi family ko ek aur major tragedy tab face karni padti hai jab Ankur aur Ankita ko terrorists maar dete hain

Iske baad terrorists Rathi family ke neighbourhood Hanuman Gali (हनुमान गली) mein pahunch jaate hain aur wahan rehne wale civilians ke saath Rathi family ko bhi hostage bana lete hain Sandhya ko initially pata nahi hota ki uski family khatre mein hai but Jab woh family members ko contact karne ki koshish karti hai aur kisi se baat nahi ho paati tab use samajh aata hai ki kuch gadbad hai lekin Terrorists Sooraj ko Sandhya se phone par baat karne ke liye majboor karte hain taaki woh suspicious na ho par Aakhirkaar Sandhya ko pata chal jaata hai ki poori Hanuman Gali terrorists ke kabze mein hai aur woh civilians aur apni family ko rescue karne ke liye pahunchti hai

Sandhya situation ka saamna karte hain aur civilians ko rescue karne ki koshish karte hain

Is crisis ke dauraan Vansh ko apne biological parents ke baare mein pura sach pata chalta hai Initially woh Sandhya aur Sooraj se naraz hota hai kyunki usse lagta hai ki usse unhone chhor diya tha

Lekin jab Vansh apni aankhon se dekhta hai ki Sandhya aur Sooraj apni jaan jhokim mein daal kar family aur civilians ko bachane ki koshish kar rahe hain toh uski misunderstandings gradually clear hoti hain

Vansh finally Sandhya aur Sooraj ko apne parents ke roop mein accept karta hai aur family ek baar phir reunite hoti hai

Lekin yeh reunion zyada der tak peaceful nahi rehta

Terrorists ke saath final ladai ke dauraan Sandhya aur Sooraj apni family ko bachane ki koshish karte hain
Iske baad terrorist leader unki beti Kanak ko kidnap kar leta hai aur uski jaan bachane ke liye Sandhya aur Sooraj ko bomb wali pills khane par majboor karta hai Isi dauraan Arpita and police aur army milkar terrorist leader ko arrest kar lete hain Lekin tab tak Sandhya aur Sooraj woh pills kha chuke hote hain Doctors batate hain ki bombs ko unke bodies se nikalna possible nahi hai aur unke paas sirf limited time bacha hai

Dono samajh jaate hain ki agar woh family ke paas rahe toh unke loved ones ki jaan bhi mushkil mein aa sakte hain

Isliye Sandhya aur Sooraj apne family members ko final goodbye dete hain

Dono ek doosre ke saath river ki taraf chale jaate hain Apne final moments mein woh apne relationship aur family ko yaad karte hain aur pani me kud jate hai

jiske baad vo bomb fat jata hai aur Aakhir mein Sandhya aur Sooraj ki death ho jaati hai

Lekin show ka final moment me dhikhaya jata hai ki Paani mein Sandhya ka mangalsutra (मंगलसूत्र) aur Sooraj ki chain ek doosre mein ulajh jaati hain and background mein setting sun dikhai deta hai

Is tarah story yeh message deti hai ki Sandhya aur Sooraj physical duniya mein alag ho gaye ho lekin unka bond aur unki love story death ke baad bhi inseparable hai

Aur isi emotional note par Diya Aur Baati Hum ki kahaani khatam hoti hai

THE END !!