LAUT AAO TRISHA

Chapter 1: The Perfect Family

So kahani shuru hoti hai Swaika(स्वाइका) family se jo ki ek wealthy family hai jiske head hain Prateek Swaika (प्रतीक स्वाइका) jo ki ek successful businessman hai Uski wife Amrita Swaika (अमृता स्वाइका) apne parivaar ko saath rakhna chahti hai (and in dono ka relationship dhekhne me toh aacha dhikhta hai but its not a healthy relationship and dono ke bich kafi tension hai) aur unki ek 18 saal ki beti hai Trisha Swaika (त्रिशा स्वाइका) jo ek young ladki hai aur apni life enjoy karna chahti hai

Bahar se dekho toh Swaika family ki life perfect lagti hai Lekin andar hi andar relationships mein tension hai

Show ki starting Prateek ke birthday celebration se hoti hai jaha uske Family aur friends uski success celebrate kar rahe hote hain Is celebration ke baad Trisha friends aur cousins ke saath beach party attend karne jaati hai

Beach party mein music dance aur masti ka mahaul hota hai Trisha apne friends ke saath enjoy kar rahi hoti hai party me Uske cousins Bobby Garewal (बॉबी गरेवाल) aur Vivaan Swaika (विवान स्वाइका) bhi aaye hote hai and sab kuch kafi badhiya chal raha hota hai and kuch time baad party khtm ho jati

Party ke baad jab Amrita ko pata chalta hai ki Trisha ghar nahi lauti toh woh usse contact karne ki koshish karti hai Lekin Trisha ka phone nahi lagta aur uska koi pata nahi chalta Pehle toh family ko lagta hai ki shayad woh friends ke saath hogi lekin jaise jaise waqt guzarta hai unki tension badhne lagti hai

Aur jab Trisha ka koi clue nahi milta toh family police ko inform kar deti hai

Chapter 2: A Disappearance Turns Into a Kidnapping

Trisha ke missing hone ka case ACP Kabir Rana (एसीपी कबीर राणा) ko diya jaata hai Kabir ek experienced police officer hai jo case ko seriously leta hai vo Trisha ki last movements trace karna shuru karta hai

Police party mein maujood logon se pooch taach karti hai police Trisha ke friends aur cousins se yeh jaanne ki koshish hoti hai ki use aakhri baar kisne dekha tha aur kya party mein kuch unusual hua tha

Investigation ke dauraan police ko beach ke paas Trisha ka damaged phone milta hai and kuch dur aage uski dress bhi beach par milti hai Amrita ke liye yeh moment bahut frightening hota hai kyunki ab use darr lagne lagta hai ki kahin uski beti ke saath koi serious haadsa toh nahi ho gaya

and kyuki Trisha ke papa ek kafi bade businessman hai isiliye Trisha ke missing hone ki news media tak pahunch jaati hai dheere dheere Prateek bhi police ki slow progress se frustrated hone lagta hai kyuki Uske liye sabse important baat apni beti ko jaldi se jaldi wapas lana hai lekin Kabir ko bina evidence ke kisi conclusion par nahi pahunchna

Isi beech Prateek ko ek anonymous call aata hai Call karne wala Trisha ko kidnap karne ka claim karta hai aur uski release ke badle ransom demand karta hai

Kidnappers ki pehli demand paanch crore rupaye hoti hai (5 crore) Baad mein yeh demand badhkar das crore rupaye ho jaati hai(10 crore) Prateek kidnapers ko paise dene ke liye ready ho jata hai then next morning Paise handover karne ke liye Prateek ko ek factory tak bulaya jaata hai

voha pauchne ke baad Prateek kafi der wait karta hai but factory me koi nahi aata jiske baad usse kuch dur ek body dhikhti hai jo ki Trisha ki lag rahi hoti hai lekin jab Prateek uss body ke pass jata hai toh pata chalta hai ki vo toh sirf ek dummy thi jiske baad puri Police force uss factory me aa jati hai but kisi ko kuch nhi milta

Kabir ko shak hota hai ki kidnapper koi aisa insaan hai jo Prateek ko achhi tarah jaanta hai jiske baad

Kabir Prateek se poochta hai ki kya use apne kisi kareebi par shak hai lekin Prateek apne parivaar aur doston par bharosa jatate hue aisi kisi bhi possibility ko maanne se inkaar kar deta hai

Chapter 3: Everyone Is a Suspect

Police Prateek ke business connections check karti hai Family ke relatives aur employees se bhi pooch taach hoti hai and in sab ke baad Prateek ke former employee Vinod (विनोद) par bhi shak kiya jaata hai kyunki uska Prateek ke saath past conflict raha tha but iss case me uski koi involvement nhi hoti hai

Doosri taraf Trisha ke missing hone ke baad Bobby aur Vivaan ke beech bhi tension badhne lagti hai Trisha ke saath Vivaan ke complicated relationship ko lekar dono ke beech behas hoti hai basically Vivaan aur Trisha ke beech romantic feelings thi lekin Trisha ne Vivaan ko yaad dilayaa tha ki vo dono cousines hai jisse family ke andar shak aur badhne lagta hai

idhar Kabir ko threat messages ka source bhi trace karna hota hai aur investigation bhi and isi Investigation ke dauran ek message jo ki Trisha ko kiya gaya tha Lavanya Swaika (लावण्या स्वाइका) ke computer se linked milta hai Lavanya

Lavanya jo Kushan Garewal (कुशन गरेवाल) ki wife hai is wajah se investigation ke radar par aa jaati hai
and yaha pata chalta hai ki kushan Garewal jo hai vo Trisha ke uncle hai

Lekin message trace hone se ye prove nhi hota hai ki Trisha ki kidnaping ke piche unhi ka haath hai isiliye vo police ke radar se jaldi hi free ho jate hai

lekin Phir Meghan (मेघन) jo ki Kushan and Lavanya ki beti hai confess karta hai ki usne Trisha ko threatening messages bheje the but ye msg usne Trisha ko isiliye bheje the kyuki vo usse itni aachi nahi lagti but Kidnapping se uska dur dur tak koi relation nahi hai and Is confession se investigation ko ek naya direction milta hai lekin abhi bhi yeh clear nahi hota ki Trisha ko asal mein kisne uthaya aur uske saath kya hua

Chapter 4: The Truth About Trisha's Kidnapping

Lekin jaise jaise investigation aage badhti ek shoking sach ka pata chalta hai related to the kidnapping

toh hota kya hai ki Prateek ki life me amrita ke alawa bhi ek aur ladki hoti hai jiska naam Neha(नेहा) hota hai jiske sath uska affair chal raha hota hai and ye jo Neha hoti hai na ye uski Secretary bhi hoti hai and as we know that un dono ka relationship(prateek a nd amrita) aacha nhi chal raha hota and Trisha ko ye sab dhikh raha hota haa jiski vaja se vo bhoth pareshan thi and issi pareshani ka faida uthate hue Kushan ne Trisha ko fake kidnapping ka plan suggest kiya tha

and Trisha ne iss plan ke liye haan kardiya tha kyuki usse laga tha ki uske gayab hone pe uske parents ko apni shaadi ki ahmiyat smjh aa jayegi i know very dumb

but Kushan ke intentions aache nhi hote hai basically (in dono ki aapas me bilkul nhi banti and dono kafi ladte hai and uski ladai ab professional se personal ho jati hai) Kushan Prateek ko uske tano(taunts) and uske behavior ki vaja se tang aa ke usse ek sabak sikhana chatha hai jiske liye vo Trisha ko use karta hai

uska plan Prateek ko buri tarah fasana hota hai jisse ki vo jail pauch jaye and Trisha ko desh se bahar bhejne ka jisme vo successful bhi ho jata hai (ye sab abhi tak police ko nahi pata chala hai)

Iske baad Kabir ko Prateek ki secret meetings ke bare me pata chalta hai and then usse Neha ke bare me pata chalta hai jiske baad Neha bhi police ke radar me aa jati hai afterwards Kabir ko Neha and Prateek ke affair ke bare me bhi pata chal jata hai jo ki ab tak usse nahi pata tha and usse ye bhi pata chal jata hai that Neha is just a Pawn jisse koi aur control kar raha hai(kushan) and usne Neha ko sirf Amrita and Prateek ki life ko khrb karne ke liye chhor rakha tha

fir pata chalta hai that Neha is pregnant with Prateek’s child fir puri family ko and even Amrita ko bhi unke affair ke bare me pata chal jata hai and vo kafi depressed ho jati hai jiske baad Lavanya steps in and vo Neha ko paise deti hai and ek abortion arrange karati hai aur usse bhaga deti hai

Chapter 5: Trisha Is Found

Ab kidnapping case ek critical point par pahunchta hai Kabir Trisha ko trace karne ki koshish karta rehta hai aur investigation use Lonavala (लोनावला) tak le jaati hai Wahan police ko clues milte hain jo unhe Trisha ke kareeb pahunchne mein help karte hain (not important - clues hote hai Trisha ki last location jo ki ek farmhouse hota hai and vohi par police ko Trisha ke kapde and belongings milte hai aur vo ransom call bhi Lonavala ke pass hi ki gayi thi)


Aakhirkaar Kabir ko Trisha ek cliff ke neeche milti hai Lekin uski condition bahut critical hoti hai aur use turant hospital le jaya jata hai

jiske baad Trisha ICU mein hoti hai and uska treatment Dr aditya(आदित्य) karte hai aur Amrita uski safety ko lekar bhoth pareshan hoti hai even tho Family ke liye yeh relief ki baat hai ki Trisha mil gayi lekin abhi bhi uski jaan ko khatra hai

uske baad police family ko bata te hai ki Trisha par goli chali thi and

Iska matlab hai ki kidnapping aur Trisha par hue attack ke peeche ek se zyada log ho sakte hain and Kabir ko ab yeh samajhna hai ki kaun Trisha ko kidnap karna chahta tha kaun use maarna chahta tha aur kya dono incidents ek hi conspiracy ka hissa the

Kushan ko darr hone lagta hai ki Trisha agar hosh mein aa gayi aur usse sab kuch yaad aa gaya toh woh uske khilaaf gawahi de sakti hai Isliye uske mann mein Trisha ko permanently shant karne ka khayal aata hai

Lavanya bhi Kushan ke secrets ke baare mein jaanne lagti hai Jab Trisha ka ex-lover Prem(प्रेम) usse aa ke sab kuch bata ta hai about Trisha and Kushan use pata chalta hai ki Kushan ne hi Trisha ko kidnap kiya tha toh woh shock ho jaati hai jiske baad Prem usse and Kushan se kehta hai ki vo police ko sab kuch batane jaa raha hai ye sun ke Kushan Prem ko goli mar deta hai aur Lavanya uski body ko dafan karne me Kushan ki help karti hai Kyuki vo apni marriage ko bachane aur Kushan ko jail jaane se rokna chhathi hai

and finally hota kya hai ki Trisha ko partial memory loss hua hota hai issi vaja se usi aadhi chize yaad nahi hoti and vo nahi bata pati ki uska kidnapper kon tha jiske baad Aditya uski kafi help karte hai usse memory vapis lane me help karte hai uske sath time spent karte hai jiske baad Trisha ko Aditya psnd aane lagta hai and even Aditya ko bhi Trisha aachi lagne lagti hai par y Chiz Meghan ko bilkul aachi nahi lag rahi hoti hai kyuki usse Aditya psnd hota hai

toh vo Aditya ke past me ki gayi ek galti ke through usse blackmail karti hai and usse kehti hai ki vo usse propose kare (aditya ne past me ek patient ko anesthesia dene me galti kardi thi jiski vaja se uski death ho gayi thi)

aur Aditya ko uski baat maan padi cuz uska medical career line pe tha jo Trisha ke liye ek heartbreak ban jata hai

Chapter 6: Kabir's Own Painful Past

Ab kahani ke beech ACP Kabir Rana ki personal life dhikhayi jati hai

Kabir ki wife aur beti ki maut ek violent incident mein ho chuki hai Is tragedy ka emotional impact ab bhi us par hai aur woh apne past ke trauma se deal karne ke liye Dr Varsha Malhotra (डॉ. वर्षा मल्होत्रा) se therapy leta hai

Varsha Kabir ki therapist hai Woh uski emotional condition ko samajhti hai aur dheere dheere uske liye apne maan me soft corner develop karne lagti hai on the other hand Kabir ke maan me Amrita ke liye feeling develope hone lagti hai lekin
Amrita apne husband Prateek se pyaar karti hai aur apni marriage ko bachane ki koshish karti hai

and kyuki Kabir past me apni beti kho chuka tha isiliye Kabir ke liye Trisha ka case sirf ek police investigation nahi tha Woh Trisha ko protect karna chahta hai aur use apni beti ki tarah protect karna chatha tha

but yaha par Versha ko le ke ek shocking reveal hota hai jo usse Prateek ke past se jodta hai

Varsha ki asli identity Jahnavi Shah (जहान्वी शाह) thi Apni young age mein Jahnavi Prateek par bharosa kar baithi thi and Prateek ne use serious relationship ka vada kiya tha lekin jab Jahnavi pregnant hui toh Prateek use chhodkar desh se chala gaya tha jiske baad

Lavanya ne Jahnavi ko abortion ke liye paise diye the and in sab ke baad Jahnavi ke parents sharam ke mare apni jaan le lete hai and inhi sab ki vaja se uske andar Prateek ke khilaaf badle ki feeling develop ho gayi thi

Chapter 7: Lavanya, Kushan and their past and the Truth about Aditya

Trisha ke kidnapping case ke saath saath Swaika family ke andar business aur personal relationships ke bich bhi tension badhne lagti hai

toh chal kya raha hota hai ki

Lavanya ek ambitious woman hai jo Swaika Group mein apni position aur power chahti hai Prateek ke saath uski kuch khas nahi banti aur woh company mein apna influence badhana chahti hai

Kushan and Prateek ki ek dusre se nahi banti as we know kyuki Prateek usse neecha dikhata rehta hai aur Kushan ke andar yeh feeling badhti jaati hai ki Prateek ne uski life aur self-respect ko control kiya hai

Lekin Kushan ka character sirf Prateek se badla lene tak limited nahi rehta Uska Lavanya ke saath relationship bhi complicated tha kyuki past me Lavanya ne usse kafi kuch chupaya tha iski vaja se vo uspe bhi itna bharosa nhi karta

afterwards

pata chalta hai ki Aditya secretly swaika family se nafrat karta hai especially Prateek se kyuki ye jo uski aadat hai na kafi sari aurato ke sath involve hone ki iski vaja se aur pata chalta hai ki Jhanvi and Aditya were very close but Prateek ki vaja se Jhanvi ki life barbad ho gayi thi and vo dono kabhi ek nhi ho paye isiliye he hates Prateek and wants to kill him and ye bilkul bhi aacha banda nhi hai

Chapter 8: Prateek Is Murdered

Ab kahani ek aur major turning point par pahunchti hai

Prateek aur Amrita apni wedding anniversary manane ke liye ek resort jaate hain Kuch waqt ke liye lagta hai ki shayad dono apne relationship ko ek fresh start dene ki koshish kar rahe hain

Lekin agle din Amrita jab uthti hai toh Prateek ki death ho chuki hoti hai Uske chest mein chhura (knife) milta hai aur Amrita shock mein chali jaati hai

jiske baad Kabir ko Prateek ke murder ki information milti hai aur woh turant investigation shuru karta hai Resort ke staff se pooch taach hoti hai and CCTV footage check ki jaati hai aur yeh pata chalta hai ki Prateek se aakhri baar Trisha and Aditya resort room me milne aaye the jiski vaja se un dono par shak jata hai and naa sirf un dono par but

Lavanya par bhi shak hota hai kyunki uska Prateek ke saath relationship kafi complicated tha

Lekin abhi tak koi aisa conclusive clue nahi milta jo clearly bata de ki Prateek ko kisne maara tha

ab iske baad ek shocking Twist aata hai and Kabir ko Kushan ke against evidence mil jata hai (through call tracking and connecting the dots) even usse ye bhi pata chal jata hai that Neha ko bhi Prateek aur Amrita ki life destroy karne ke liye Kushan ne hi bheja tha jiske baad

Kushan weird harkahten karne lagta hai jiski vaja se Use mental asylum bhej diya jaata hai lekin Kabir ko shak rehta hai ki Kushan sach mein mentally unwell hai ya jaan boojhkar aisa behave kar raha hai

Kabir uski iss acting ko bhi expose kar deta hai and usse punishment dilvata hai

in sab ke baad bhi Prateek ki death ki mystery abtak solve nhi hui thi and iss murder me Kushan ka bhi koi haath nahi nikalta

Chapter 9: Amrita's Death and Trisha's Accusation

Prateek ki death ke baad Amrita emotionally tut jaati hai and vo khud Prateek ke killer ko dhoondne lagti hai aur clues connect karne lagti hai aur uske sare clues sirf ek hi insaan ki taraf jaa rahe hote hai Dr aditya and Amrita police ko ye sab bata paye isse phele hi

Amrita ki bhi death ho jaati hai aur Investigation mein pata chalta hai ki uske drink mein kuch milaya gaya tha and the sad part is Trisha ke fingerprints us glass par milte hain jismein Amrita ne drink pi thi Is evidence ke basis par Trisha ko apni hi maa ke murder ke aarop mein giraftaar kar liya jaata hai

Trisha ke liye yeh ek unimaginable loss hai Pehle uski kidnapping hui, phir uske father ka murder hua aur ab uski mother bhi usse chhin gayi and uski mother ki death ke liye bhi usi ko blame kiya jaa raha hai

Trisha ke liye situation aur difficult ho jaati hai kyunki woh apni mother ki death ka sach samajhne ki koshish kar rahi hoti hai lekin ab use khud apni innocence prove karni padti hai

ACP Kabir Rana jo shuru se Trisha ko insaaf dilane ki koshish kar raha tha use case se hata diya jaata hai aur investigation ek naye inspector ko saunp di jaati hai Trisha ki taraf se case ladne wala pehla defence lawyer bhi kuch hearings ke baad haar maan leta hai kyunki use lagta hai ki woh Trisha ko bacha nahi paayega (yaha pe kabir ka arc khtm ho jata hai kyuki ab show ka format hai badal jata hai)

Lekin tabhi kahani mein entry hoti hai Advocate Vynavin Kumar((वायनविन कुमार) yaani VK ki Woh Trisha ka case apne haath mein leta hai aur kuch hi court hearings mein aise facts saamne laata hai jo poore case ki direction badal dete hain VK ke efforts se Trisha par laga murder ka aarop tik nahi paata aur aakhirkaar use jail se riha kar diya jaata hai

Lekin court mein saamne aayi baatein ek naya sawaal bhi khada karti hain VK Lavanya ke suspicious actions ko expose karta hai Woh evidence saamne laata hai ki

Lavanya ko pata tha ki Trisha ki kidnapping kisne ki hai but usne ye baat chupayi rakhi and even Prem ki body ko chupane me bhi Kushan ki help ki

iske baad vo Dr Aditya ke against bhi Evidances court me rakhta hai aur prove karta hai ki Dr Aditya jo ki Swaika family ko bilkul psnd nahi karte the and pata chalta hai ki dono murders khud aditya ne hi kiye the and bhoth smarty dusro ko un kamo ke liye frame kar diya tha

Itni suspicious baatein saamne aane ke baad dono Aditya and Lavanya ko legally punish kiya jata hai and dono ko jail ho jati hai and Lavanya ka pura ghar ujad jata hai kyuki uska husband already jail me tha and ab vo bhi jail jaa rahi hoti hai

Chapter 10: Trisha and VK's New Journey


Ab yahan se serial ka format badalne lagta hai

Shuruaat mein Laut Aao Trisha ek missing girl ki mystery thi Kahani ka main focus tha Trisha ko dhoondhna uski kidnapping ka sach saamne laana aur Swaika family ke secrets ke bare me tha

Lekin baad mein Trisha VK ke saath alag alag criminal cases solve karne lagti hai VK lawyer hai aur Trisha uski secretary aur assistant ke roop mein uski investigations mein help karti hai

Is tarah Trisha ki life ek nayi direction leti hai Woh apni family ke saath jo kuch hua uske baad doosre logon ko justice dilane ki journey mein involve ho jaati hai


THE END !!