Bekaboo

Kahani shuru hoti hai 1994 mein jab kuch friends ek jungle mei maze karne jaa rahe hote hai jungle enter karne se pehle ek budha aadmi unhe warn karta hai ki jungle mein aage jaana dangerous hai lekin woh uski baat ko seriously nahi lete hai Isi wajah se unka saamna ek rakshas se hota hai aur woh unhe maar deta hai

aagle din Is incident ke baad woh budha aadmi ye dhekhta hai toh apne bete ki umar ke ladke ko (they have’t explained his character and also he is not imp) duniya ke saat alag-alag lokon ke baare mein batata hai

devlok - jaha devta and unke raja inder aur sabhi devi devta rethe hai
parilok - jaha pariya and farishte rethe hai
swarglok - jaha pure souls rethi hai
prithvi - where humans live
naraklok - jaha danav and buri aatmaye rethi hai
naglok - yaha vasuki and seshnag rethe hai
jahannum - yaha rakshas rethe hai

(i have aranged the lok’s in the correct order as it was shown in the show)

Isi Jahannum mein Valak (वलाक) naam ka ek powerful rakshas rehta hai Valak Bhagwan Shiv ki tapasya kar raha hota hai kyunki uska maksad Asi Astra (असि अस्त्र) haasil karna hai jis se vo sabhi rakshason ko aazadi dila payega Asi Astra ek powerful divine weapon hai aur Valak chahta hai ki iski madad se rakshason ke liye duniya ke alag alag lokon mein freely jaana possible ho sake

Lekin Valak ki tapasya ko rokne ke liye Parilok se Devlekha (देवलेखा) Prithvi par aati hai Devlekha Parilok ki Rajpari yani crown princess hoti hai

Devlekha jaanti hai ki seedha Valak ki tapasya todna mushkil hai Isliye woh uske parivaar ke andar hi ek aisi situation create karti hai jisse Valak ke do bete Ashwat (अश्वत) aur Pratham (प्रथम) ek doosre ke against ho jaate hain

Dono bhai Devlekha ki taraf attract hote hain lekin Devlekha ko Pratham se pyaar ho jaata hai

Isi beech Valak ki sabse chhoti beti Yamini (यामिनी) ko Devlekha ki asli identity pata chal jaati hai Yamini jaanti hai ki Devlekha ek Pari hai par vo ek buri rakshash hoti hai and vo sochti hai she will never get to eat humans again if valak ki tapasya puri ho gayi isiliye woh isi sach ka use karke Ashwat aur Pratham ke beech misunderstanding aur badha deti hai

Pratham jab Devlekha se uski identity ko lekar sawaal kar raha hota hai tabhi Ashwat voha aa jata hai aur Devlekha se puchta hai ki kya hua aur tabhi Devlekha Pratham par ek serious ilzaam laga deti hai Iske baad Ashwat aur Pratham ke beech ladai shuru ho jaati hai aur isi ladai ki wajah se Valak ki tapasya toot jaati hai and pratham ko iss chiz ka kafi regret hota hai

Pratham Devlekha se badla lene ka faisla karta hai Woh apna roop badalkar Devlekha se shaadi karta hai aur uske sath raat bita ta hai and phir usse batata hai ki usne Devlekha ke saath yeh sab isliye kiya kyunki usne Ashwat ko dhokha diya aur Valak ki tapasya tudwayi

Devlekha ko jab Pratham ki asli identity aur uske plan ka pata chalta hai toh woh gusse aur humiliation mein Pratham ko curse deti hai

Devlekha ke curse ke according Pratham ki death uske hi haathon hoti hai aur uski soul ko Earth par bhatakna padta hai jab tak use kisi aise insaan ka body na mil jaaye jo usse related ho and ye bolne ke baad vo usse mat deti hai

Pratham ki death ke baad Devlekha bhi apni zindagi khatam kar leti hai but uski maa ye pray karti hai that uska rebirth ho and

Kaafi saal baad kahani present time mein aati hai

Devlekha dobara janam lekar Bela (बेला) ban chuki hoti hai Bela ek human life jee rahi hoti hai lekin usse apni previous life ki kuch strange flashes aur memories aati rehti hain Shuru mein woh khud bhi nahi samajh paati ki in memories ka connection kis cheez se hai

Doosri taraf Ashwat ka beta Ranav (रणव) bada ho chuka hota hai Ranav ek Rakshas hai lekin apne hi parivaar mein woh weak aur alag samjha jaata hai

Ranav ke cousins Aditya (आदित्य), Udit (उदित) aur Naksh (नक्ष) Yamini ke bete hote hain aur woh Ranav ko constantly bully karte rehte hain

Ek din jab Ranav ek ladki ko unse bachane ki koshish karta hai toh Aditya, Udit aur Naksh usse itna marte hai ki Ranav ki death ho jaati hai

Lekin Ranav ki death ke baad ek supernatural twist hota hai

Pratham ki wandering soul ko finally ek aisi body mil jaata hai jo uske family se connected hai Pratham Ranav ke body ko possess kar leta hai

Iske baad jo Ranav sabke saamne hota hai woh sirf Ranav nahi rehta Uske body ke andar Pratham ki aatma aa chuki hoti hai

Isi wajah se Ranav ka behaviour poori tarah change ho jaata hai Woh Yamini ko uske naam se bulata hai jabki Yamini uski aunt hoti hai aur family ke log shock mein aa jaate hain Yamini usse yaad dilati hai ki Pratham toh bahut saal pehle mar chuka hai

Lekin Pratham ab Ranav ke body mein wapas aa chuka hota hai aur uska sabse bada objective hota hai apne bhai Ashwat ki death ka sach pata karna aur apne aur Ranav dono ke saath hue injustice ka badla lena

Isi beech Bela ko bhi dheere dheere apni previous life ke baare mein clarity milti hai Usse pata chalta hai ki woh Devlekha ki reincarnation hai

Bela ko yeh bhi pata chalta hai ki Ranav ek Rakshas hai

Dono ki kahani ab ek doosre se connect ho chuki hoti hai Bela ke andar Devlekha ki purani memories aur Pratham ke andar purani revenge ki feelings dono ko ek doosre ke saamne laati hain

iske baad show me shaadi ka twist aata hai
basically Bela ki friend Mallika (मल्लिका) ki shaadi Ranav se hone wali hoti hai through arrange marriage but Bela ko Ranav se revenge lena hai (cuz of what he did to her in her past life) toh vo Aditya ko manuplate karti hai and uski powers ka use kar ke bride ko swape kar ke khud shaadi ke mandap pe bhaith jati hai and result ye hota hai ki Ranav ki shadi Bela se ho jati hai

Ranav Bela ko immediately accept nahi karta aur dono ke beech constantly tension bani rehti hai

Lekin circumstances unhe ek saath rehne par majboor kar dete hain

Isi dauraan Ranav ko pata chalta hai ki uske father Ashwat ki death normal nahi thi

Ashwat ka kisi ne murder kiya tha

Bela decide karti hai ki woh Ranav ko Ashwat ke murderer tak pahunchne mein help karegi Uska plan yeh hota hai ki pehle woh Ranav ko sach tak pahunchne mein help karegi aur uske baad apne previous life ka badla legi

Investigation ke dauraan Ranav aur Bela ki mulaqat Indrajeet (इंद्रजीत) se hoti hai Indrajeet initially ek normal manager ki tarah behave karta hai lekin asal mein woh ek Rakshas hai aur Yamini ka assistant hota hai

Indrajeet Bela ke saath flirt karta hai aur Ranav ko jealous feel karta hai

Ek point par Ranav aur Bela ek purani Haveli ke secret area tak pahunchte hain Wahan unhe ek hidden Taikhana (तहखाना) milta hai jise Indrajeet protect kar raha hota hai

Isi Taikhane mein Ashwat ne Asi Astra ko chhupa kar rakha tha

Indrajeet ye sab dhekh leta hai aur Ranav ko trap kar deta hai aur finally uski asli identity reveal ho jaati hai kisi tarah Ranav uss jaal (trap) se nikalta hai aur

Ranav ashwat ki aur apni previous like ki death ke bare me aur jaan ne ki koshish karta hai dhundte dhundte

Usse Ashwat ka dead body bhi milta hai aur dheere dheere suspicion Yamini par jaata hai

Bela ko asi astra ka sach jaan na hota hai isiliye vo Shekhar (शेखर), jo Yamini ka husband hai usse hypnotize karti hai vo Bela ko batata hai ki Yamini ka intention Ashwat se Asi Astra lene ka tha aur is plan mein Ranav ko bhi use kiya jaana tha

Dusri taraf Ranav ko Indrajeet se pata chalta hai ki Yamini bhi is poore plan mein shaamil hai Iske baad Ranav Yamini se directly baat karke uske involvement ki sachchai jaanne ki koshish karta hai

Lekin Ashwat ki murder mystery abhi bhi solve nahi hoti

Isi investigation ke beech Pataali (पाताली) story mein enter karti hai

Pataali Valak ki wife aur Ashwat, Pratham, Vansh aur Seema ki mother hoti hai Yamini bhi Pataali ki daughter ke roop mein family se connected hoti hai

Pataali pehle dead hoti hai lekin baad mein Naagin Mehek (मेहक) aur uske husband Jeet (जीत) ki help se revive hoti hai

Isi phase mein Bekaboo ki story Naagin universe (naagin serial) se bhi connect hoti hai

Mehek ki daughter Trisha (त्रिशा) ek powerful Naagin hoti hai aur uska target Naaglok hota hai basically Mehek apni beti Trisha ko Shesh Naagin bana na chathi hai

Doosri taraf Shesh Naagin Prarthana (प्रार्थना) apni daughter ko dhoondh rahi hoti hai jisme Bela Prarthana ki help karti hai

Yamini, Pataali, Mehek aur Trisha apni army ke saath Naaglok par attack karte hain lekin Prarthana, Raghuveer(Prarthana ka husband and Shesh naag hai) aur Bela ki help se unka plan fail ho jaata hai

Iske baad Bela Earth par wapas aa jaati hai aur Ranav ke saath uski story dobara focus mein aa jaati hai

Pataali Raichand mansion (jahan ranav and ye sabhi log reh rahe hai) mein aati hai kyuki

Usse doubt hota hai ki Bela aur Mallika mein se koi ek Pari hai

Pataali aur Yamini dono milkar Bela aur Mallika ko alag alag tests se check karte hain Shuru mein unhe lagta hai ki dono normal humans hain

Lekin Pataali ko jaldi hi ek aur important sach ka pata chal jaata hai
Woh samajh jaati hai ki Ranav ke body ke andar Pratham ki soul hai

Pataali apne bete ko pehchaan leti hai aur Ranav se kehti hai ki woh Ashwat ke murderer ko dhoondhne mein uski help karegi

Pataali Ranav ko ek kangan dikhati hai aur batati hai ki Ashwat ko kisi Pari ne maara hai Kangan ka doosra piece agar kisi ke paas hua toh wahi Pari aur Ashwat ki murderer hogi

Ab Ranav ke paas Ashwat ke murderer ko dhoondhne ke liye ek aur clue hota hai

Lekin Pataali saath hi Ranav aur Bela ko alag karne ki planning bhi kar rahi hoti hai

Iske liye woh Ranav ki ex-girlfriend Naira (नायरा) ko use kar ke

Ranav aur Bela ke beech misunderstandings create karne ki koshish karti hai lekin dono ka connection isi vaja se dheere dheere aur strong hota jaata hai

Isi beech Ranav par ek masked figure attack kar deta hai

Yeh masked person Naqabposh (नकाबपोश) hota hai

iss attack ki vaja se Ranav badly injured ho jaata hai aur Bela usse dhoondti hai aur usse dhundne ke baad

Ranav Apne final moments mein Bela ko batata hai ki woh ek Rakshas hai aur normal tareeke se Rakshas ko koi doosra insaan maar nahi sakta Rakshas ki death ka apna supernatural rule hota hai

ye bolne ke just baad

Ranav Bela ki baahon mein mar jaata hai

Lekin Bela usse khone ke liye ready nahi hoti

Woh apne Pariyon wale khoon ki madad se Ranav ko revive karti hai

Ranav wapas zinda hota hai lekin ab vo aur bhi powerfull ho chuka hai cuz uske andar Bela ke pariyon wale khoon ka effect aa gayi hai

Isi wajah se uski powers aur strong ho jaati hain

Aur isi moment par Ranav ko ek shocking baat samajh aati hai

Bela actually Devlekha hai

Wahi Devlekha jisne previous life mein Pratham ko maar diya tha

Ranav ko lagta hai ki Bela ne usse dhokha diya hai aur woh Bela ko Raichand house se nikal deta hai

Lekin kahani ka sabse bada twist abhi baaki hota hai

iske baad scene shift hota hai and dhikhaya jata hai ki

Naqabposh Bela aur uski mother Deepa (दीपा) ko target karta hai


Bela ko dheere dheere realise hota hai ki Naqabposh ke paas normal human powers nahi hain Uske paas Pari jaise supernatural powers hain

attack ke baad even tho Ranav Bela se gussa hota hai but still

Bela aur Ranav dono milkar Naqabposh ka sach dhoondhne lagte hain

Aur finally pata chalta hai ki Naqabposh koi outsider nahi hai

Naqabposh actually Deepa hai

Deepa Bela ki mother hoti hai (earth pe wali mother) aur past mein woh khud bhi Parilok ki Pari reh chuki hoti hai

Deepa ko Pari Maa(Parilok ki queen) ne punishment ke taur par Earth par bhej diya tha kyunki Deepa ne Pari Maa ko maarne ki saazish ki thi aur Asi Astra ki madad se Parilok par kabza karne ki koshish ki thi and Ashwat ko bhi isi ne mara tha!!

Sabse shocking baat yeh hoti hai ki Deepa ko Bela se bhi nafrat thi kyunki Bela ke birth ke time hi Deepa ko pata chal gaya tha ki uski daughter actually Devlekha ki reincarnation hai

Isi beech Yamini ko bhi Bela ke Pari hone ka doubt strong ho jaata hai


fir Yamini Bela ko ek aisi jagah phansa deti hai jahan uski Pari powers properly kaam nahi kar sakti Powers ke kaam na karne ki wajah se Bela khud ko wahan se nikaal nahi paati aur khatre mein phans jaati hai Tabhi Ranav wahan pahunchta hai aur Bela ko bachakar usse safe jagah le aata hai

Is incident ke baad Ranav aur Bela ko realise hota hai ki

Dono ek doosre se genuinely pyaar karne lage hain afterwards

Ranav aur Bela shaadi karne ka decision lete hain

Lekin Ranav ko Deepa ke plan ke bare me ek baat realise hoti hai

Usse realise hota hai ki Deepa Bela ko harm karne wali hai

Bela ko bachane ke liye Ranav Deepa ko maar deta hai

Lekin Bela ko ye nahi pata hai ki Ranav ka Bela ki mother ko marne ke actual reasons kya hote hai and

Usse lagta hai ki Ranav ne uski mother ko jaanboojhkar maar hai cuz of his brother’s death to take revenge

Bela aur Ranav ke beech ek bar fir misunderstanding create ho jaati hai

Ranav Bela ko convince karne ki koshish karta hai ki usne yeh sab sirf Bela ko bachane ke liye kiya tha

Lekin Bela uski baat par bharosa nahi karti and even attacks at him


Afterwards


Ranav apne pyaar ko prove karne ke liye apni life sacrifice kar deta hai (in such way that vo rakshash hone ke baad bhi mar jayega)

Ranav ke girte hi zameen mein ek supernatural crack open hota hai aur uska body usi crack ke andar chali jati hai

Bela usse rokne ki koshish karti hai lekin Ranav Earth ke andar chala jaata hai

fir Bela Parilok jaati hai deepa ke bare me information lene and wahan usse Deepa ke past aur uski real identity ka sach pata chalta hai

Ab Bela ko realise hota hai ki Ranav usse jhoot nahi bol raha tha usse realise hota hai ki

Ranav ne Deepa ko Bela ko bachane ke liye maara tha aur fir usse kafi guilt hota hai

Bela decide karti hai ki woh Ranav ko kisi bhi keemat par wapas laayegi

Ranav ko bachane ke liye Bela jahannum tak jaati hai

Wahan ek twist aata hai and pata chalta hai ki usse Ranav ko wapas laane ke liye apni Pari ki powers sacrifice karna hoga

Bela apni saari fairy powers sacrifice kar deti hai aur finally Ranav ko wapas le aati hai

Ab Bela ek normal human ban chuki hai

and ab dono ko lagta hai ki unki kahani finally ek naye and aache start ki taraf ja rahi hai

SEASON 2 (Ishq-E-Anjaam)

Bela aur Ranav Raichand house wapas aate hain

Ranav apne family members ko clearly warn karta hai ki ab Bela ko koi harm nahi karega

Bela ab human hai aur uski fairy powers nahi rahi hoti

Dono apni married life ko ek fresh start dene ki koshish karte hain

Lekin next morning jab Bela uthti hai toh usse Ranav ka ek note milta hai jisme usse jungle mein milne ke liye kaha gaya hota hai


Bela jungle pahunchti hai Wahan Bela ko Vijay milta hai, jo uska ex-fiancé hota hai Bela ko samajh nahi aata ki Vijay wahan kyun hai Tabhi Ranav Vijay ke saamne aata hai aur usse jaan se maar deta hai Bela use rokne ki koshish karti hai lekin Ranav uski baat nahi maanta

Iske baad Ranav Bela ko batata hai ki usne kabhi usse genuinely love nahi kiya aur Bela ke saath uska poora relationship uske revenge plan ka part tha Bela ye sunkar completely heartbroken ho jaati hai Ranav phir police ke saamne yeh dikhata hai ki Vijay ko Bela ne maara hai Police Bela ko Vijay ki death ke allegation mein arrest kar leti hai

Lekin Bela ko abhi ye nahi pata hota ki jise woh Ranav samajh rahi hai woh asli Ranav nahi, balki Malak (मलक ye valak ka twin brother hai) hota hai jo Ranav ka roop lekar ye sab kar raha hota hai Asli Ranav ko Pataali aur Malak ne kidnap kar liya hota hai

iske baad Pataali doctor ko paise dekar Bela ko asylum mein hi rakhne aur use mentally unstable dikhane ka plan banati hai

Isi dauraan Bela ko pata chalta hai ki woh pregnant hai Pataali ne jis mental asylum mein Bela ko rakha hota hai, wahan Nurse Shushma uski situation samajh jaati hai aur Bela ko wahan se escape karne mein maddad karti hai


Bela asylum se bahar nikal jaati hai lekin uski problems vohi khatam nahi hoti Woh kai mahine tak ek jagah chhupkar rehti hai Baad mein jab Bela labour mein jaati hai, toh woh ek baby ko janam deti hai Lekin baby birth ke baad koi response nahi deta aur Bela ko bataya jaata hai ki uska bachcha zinda nahi raha Bela completely toot jaati hai aur un sabhi logon se badla lene ka faisla karti hai jinki wajah se uski zindagi barbaad hui

Bela badla lene ke liye Sophia Anderson (सोफिया एंडरसन) ke naam se nayi identity adopt karti hai Woh ek business event mein Yatin Gandhi (यतिन गांधी a rich businessman) ke saath appear hoti hai, jahan use ek British model aur Yatin ki companion ke roop mein introduce kiya jaata hai Yamini usse Rainband ke Scooty brand ke modelling project ka offer deti hai Sophia pehle mana karti hai lekin baad mein offer accept kar leti hai

Isi connection ki wajah se Sophia ka Raichand family ke saath jaan pechan badhti hai Baad mein Pataali Sophia aur Yatin ko Raichand house mein rukne karne ke liye invite karti hai Bela/Sophia isi mauke ka use karke Raichand house mein enter karti hai

Family ko initially pata nahi hota ki Sophia actually Bela hai

lekin Sophia dheere dheere apne ek ek dushman ko target karna start karti hai aur sbse badla leti hai

Sabse pehle woh Udit aur Aditya ko maar deti hai and fir vo yamini ko bhi mar deti hai

Ranav ke liye yeh sab confusing hota hai kyunki jab Pataali aur Malak ne usse kidnap kar ke rakha tha toh usse iss baat pe bharosa dila diya tha ki Bela mar chuki hai

Lekin uske dil ko baar baar lagta hai ki Sophia hi Bela hai

Aur phir story ka sabse bada Season 2 twist saamne aata hai

Jab Bela ko finally Malak aur Pataali ke connection ka pata chalta hai toh usse samajh aata hai ki uske saath kitna bada dhoka hua tha

Isi beech Bela aur Ranav Valak ko dhoondh lete hain, jo ab bhi Asi Astra ko haasil karne ke apne plan par kaam kar raha hota hai Valak ka saamna Malak se bhi hota hai aur dono ke beech takraav shuru ho jaata hai

Bela situation ka fayda uthakar Asi Astra lekar bhaag jaati hai

Malak uske peeche jaata hai aur Bela ko maarne ki koshish karta hai

Lekin Ranav time par pahunchkar Bela ko bacha leta hai

Ab Malak ka plan yaha puri tarah flop ho ho jaata hai and

Bela ko realise hota hai ki jis insaan ko woh Ranav samajhkar usse nafrat karti rahi woh Ranav tha hi nahi

Ranav aur Bela finally ek doosre ko sach batate hain

Dono ko samajh aata hai ki unki separation aur suffering ka reason unke beech ka lack of love nahi tha balki Malak aur Pataali ki conspiracy thi

aur ab final battel shuru ho jata hai

Ranav, Valak aur Malak ke beech kafi serious ladai hoti hai

mid fight Pataali and valak ke bich emotional confrontation hota hai and usse realise hota hai ki Malak ne uske parivar ko kitna zada harm kiya hai isiliye vo bhi iss ladai me Malak ke against ho jati hai fir

Final fight ke dauraan Malak Asi Astra ko haasil karne ki koshish karta hai Bela ko pata hai ki agar Asi astra Malak ke haath lag gaya toh usse harana bhoth hi zada mushkil ho jayega Isliye Bela Asi Astra ko Malak se bachane ke liye khud ko sacrifice karne ke liye pani me kud jati hai

Ranav bhi Bela ke peeche kud jaata hai and usse bacha leta hai

Aur tab ek final miracle hota hai.

Bela ne ek human hote hue bhi apni responsibility as a Pari complete ki hoti hai.

Isi wajah se uski Pari powers usse wapas mil jaati hain.

Bela aur Ranav finally firse ek sath aa jate hai

Lekin story yahin khatam nahi hoti

Last me dhikhaya jata hai ki Bela ka child actually mara nahi tha

Unka child zinda hota hai aur fishermen ke pass hota hai


THE END !!